wo jin ke chehre dhuan-dhuan the wo log shahr-e-jamal ke the
wo jin ke chehre dhuan-dhuan the wo log shahr-e-jamal ke the
Sarfaraz Syed
MORE BYSarfaraz Syed
vo jin ke chehre dhuāñ-dhuāñ the vo log shahr-e-jamāl ke the
vo zard mausam ke rāz-dāñ the vo ruḳh pe bād-e-malāl ke the
aqīdatoñ kā ḳhirāj de kar malāmatoñ kī jo fasl kaaTī
vo uḌte pattoñ kī dāstāñ thī vo rishte ḳhvāb-o-ḳhayāl ke the
tumhārī āñkhoñ meñ niiñd sī thī mujhe bhī sahrā pukārte the
tumheñ bhī fursat na mil sakī thī mire bhī lamhe zavāl ke the
mohabbatoñ kī fasīl chun kar qayāmatoñ ke hisār khīñche
dayār-e-jānāñ meñ rahne vāloñ ke hausle bhī kamāl ke the
vafā-parastoñ kī bastiyoñ meñ jo tū ne dekhe the ḳhvāb chehre
vo apnī āñkhoñ ko DhūñDte the sabhī ke lahje savāl ke the
ba-vaqt-e-ruḳhsat jo phaile kājal tumhārī āñkhoñ ke āñganoñ meñ
vahī ḳhazīne the āgahī ke vahī to lamhe visāl ke the
ināyatoñ kī rivāyatoñ meñ qayāmatoñ kī shikāyateñ thiiñ
ajiib manzar thā har galī meñ fasāne tere jamāl ke the
tirī hī bāteñ tirā hī charchā hikāyatoñ meñ shikāyatoñ meñ
ga.e dinoñ meñ na.e dinoñ meñ fasāne tere jamāl ke the
wo jin ke chehre dhuan-dhuan the wo log shahr-e-jamal ke the
wo zard mausam ke raaz-dan the wo ruKH pe baad-e-malal ke the
aqidaton ka KHiraj de kar malamaton ki jo fasl kaTi
wo uDte patton ki dastan thi wo rishte KHwab-o-KHayal ke the
tumhaari aankhon mein nind si thi mujhe bhi sahra pukarte the
tumhein bhi fursat na mil saki thi mere bhi lamhe zawal ke the
mohabbaton ki fasil chun kar qayamaton ke hisar khinche
dayar-e-jaanan mein rahne walon ke hausle bhi kamal ke the
wafa-paraston ki bastiyon mein jo tu ne dekhe the KHwab chehre
wo apni aankhon ko DhunDte the sabhi ke lahje sawal ke the
ba-waqt-e-ruKHsat jo phaile kajal tumhaari aankhon ke aanganon mein
wahi KHazine the aagahi ke wahi to lamhe visal ke the
inayaton ki riwayaton mein qayamaton ki shikayaten thin
ajib manzar tha har gali mein fasane tere jamal ke the
teri hi baaten tera hi charcha hikayaton mein shikayaton mein
gae dinon mein nae dinon mein fasane tere jamal ke the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.