wo jin ke gumbad-o-minar ke ham-sar nahin hote
wo jin ke gumbad-o-minar ke ham-sar nahin hote
KHvaaja Gulaamus Syedain Rabbani
MORE BYKHvaaja Gulaamus Syedain Rabbani
vo jin ke gumbad-o-mīnār ke ham-sar nahīñ hote
unhīñ kī qabr par tā'vīz ke patthar nahīñ hote
shanāvar ko sadā is baat kā andāza hotā hai
ho uthlā sā jahāñ paanī vahāñ gauhar nahīñ hote
hameñ pāmāl rāhoñ se alag chalne kī 'ādat hai
jahāñ sab DhūñDte haiñ ham vahāñ aksar nahīñ hote
parindoñ kī nahīñ mushkil vo vāpas lauT jaate haiñ
zarā un kī to socho jin ke apne ghar nahīñ hote
shahādat meñ hai sardārī kā mansab jaan se baḌh kar
hathelī par na rakkhe hoñ to phir vo sar nahīñ hote
wo jin ke gumbad-o-minar ke ham-sar nahin hote
unhin ki qabr par ta'wiz ke patthar nahin hote
shanawar ko sada is baat ka andaza hota hai
ho uthla sa jahan pani wahan gauhar nahin hote
hamein pamal rahon se alag chalne ki 'adat hai
jahan sab DhunDte hain hum wahan aksar nahin hote
parindon ki nahin mushkil wo wapas lauT jate hain
zara un ki to socho jin ke apne ghar nahin hote
shahadat mein hai sardari ka mansab jaan se baDh kar
hatheli par na rakkhe hon to phir wo sar nahin hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.