wo jinhen dasht-e-ana se par hona tha hue
vo jinheñ dasht-e-anā se paar honā thā hue
ham ko lekin sāhab-e-kirdār honā thā hue
kab talak jiite visāloñ kī tamannāoñ meñ log
zindagī se ek din bezār honā thā hue
aur the vo jin ko jāgīreñ atā us se huiiñ
apnī qismat meñ to bas fankār honā thā hue
kuchh parindoñ ko milī ūñchī uḌānoñ kī sazā
kuchh ko lekin qaid meñ par-dār honā thā hue
ham ko banñā thā kaḌī zanjīr kī ham ban ga.e
vo jinheñ pāzeb kī jhankār honā thā hue
koshish-e-paiham se bhī koī na ban paa.ī lakīr
khīñchnā the dā.ere parkār honā thā hue
vaar apne aap par karnā thā 'as.ad' tah-ba-tah
ham ko ik TuuTī huī talvār honā thā hue
wo jinhen dasht-e-ana se par hona tha hue
hum ko lekin sahab-e-kirdar hona tha hue
kab talak jite visalon ki tamannaon mein log
zindagi se ek din bezar hona tha hue
aur the wo jin ko jagiren ata us se huin
apni qismat mein to bas fankar hona tha hue
kuchh parindon ko mili unchi uDanon ki saza
kuchh ko lekin qaid mein par-dar hona tha hue
hum ko banna tha kaDi zanjir ki hum ban gae
wo jinhen pazeb ki jhankar hona tha hue
koshish-e-paiham se bhi koi na ban pai lakir
khinchna the daere parkar hona tha hue
war apne aap par karna tha 'asad' tah-ba-tah
hum ko ek TuTi hui talwar hona tha hue
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 56)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.