wo jis ke liye maut ka farman hua hai
vo jis ke liye maut kā farmān huā hai
us kī ye ḳhatā hai ki vo sach bol rahā hai
qad par nahīñ mauqūf yahāñ dil kī baḌā.ī
chhoTā to vo lagtā hai magar dil kā baḌā hai
sāñsoñ meñ basī ek tirī chaah kī ḳhushbū
terā hī tasavvur mirī rag rag meñ rachā hai
lālach bhī burī chiiz hasad bhī hai burī shai
maiñ ne to yahī apne buzurgoñ se sunā hai
sāthī tire tūfān se laḌne bhī lage haiñ
aur tū hai ki sāhil pe khaḌā soch rahā hai
baisākhiyāñ rakhte haiñ sabhī tere nagar meñ
'sājid' hī akelā hai jo pairoñ pe khaḌā hai
wo jis ke liye maut ka farman hua hai
us ki ye KHata hai ki wo sach bol raha hai
qad par nahin mauquf yahan dil ki baDai
chhoTa to wo lagta hai magar dil ka baDa hai
sanson mein basi ek teri chah ki KHushbu
tera hi tasawwur meri rag rag mein racha hai
lalach bhi buri chiz hasad bhi hai buri shai
main ne to yahi apne buzurgon se suna hai
sathi tere tufan se laDne bhi lage hain
aur tu hai ki sahil pe khaDa soch raha hai
baisakhiyan rakhte hain sabhi tere nagar mein
'sajid' hi akela hai jo pairon pe khaDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.