wo jis ki dastan phaili dil-e-diwana mera tha
Interesting Fact
(November, 1987)
vo jis kī dāstāñ phailī dil-e-dīvāna merā thā
zabāneñ dushmanoñ kī thiiñ magar afsāna merā thā
taḌaptā huuñ ki ik sāġhar kisī hātim se mil jaa.e
zavāl-e-āsmāñ dekho kabhī mai-ḳhāna merā thā
balā kī ḳhāmushī taarī thī har-sū terī haibat se
sar-e-mahfil jo gūñjā nāra-e-mastāna merā thā
kaTe yuuñ to hazāroñ sar vafā kī karbalāoñ meñ
tire neze pe jo ubhrā sar-e-shāhāna merā thā
faqīh-e-shahr ko samjho ki ham pakḌe ga.e nāhaq
sharābeñ sab usī kī thiiñ bas ik paimāna merā thā
banā hai 'arsh' vo munsif to phir ye bhī kabhī dekhe
huā hai band jo mujh par vahī vīrāna merā thā
wo jis ki dastan phaili dil-e-diwana mera tha
zabanen dushmanon ki thin magar afsana mera tha
taDapta hun ki ek saghar kisi hatim se mil jae
zawal-e-asman dekho kabhi mai-KHana mera tha
bala ki KHamushi tari thi har-su teri haibat se
sar-e-mahfil jo gunja nara-e-mastana mera tha
kaTe yun to hazaron sar wafa ki karbalaon mein
tere neze pe jo ubhra sar-e-shahana mera tha
faqih-e-shahr ko samjho ki hum pakDe gae nahaq
sharaben sab usi ki thin bas ek paimana mera tha
bana hai 'arsh' wo munsif to phir ye bhi kabhi dekhe
hua hai band jo mujh par wahi virana mera tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.