wo jis ki marzi se aae hain is sadi mein hum
vo jis kī marzī se aa.e haiñ is sadī meñ ham
mileñge us se magar āḳhirī ghaḌī meñ ham
tumhārī yaad mujhe aise DhūñDhtī hai dost
charāġh DhūñDhte haiñ jaise tīrgī meñ ham
sharīf laḌkiyāñ yak-dam se khul nahīñ paatī
so dhīre dhīre se utreñge is nadī meñ ham
vo baat kartā hai aur muskurā ke dekhtā hai
simaT ga.e haiñ faqat itnī sī ḳhushī meñ ham
tumhāre baad bichhaḌne meñ Dar nahīñ lagtā
mufīd kaam kar aa.e the buzdilī meñ ham
ḳhudā ḳhitāb-e-siyāsat se duur rakhnā hameñ
sukūn chāhte haiñ yaar zindagī meñ ham
wo jis ki marzi se aae hain is sadi mein hum
milenge us se magar aaKHiri ghaDi mein hum
tumhaari yaad mujhe aise DhunDhti hai dost
charagh DhunDhte hain jaise tirgi mein hum
sharif laDkiyan yak-dam se khul nahin pati
so dhire dhire se utrenge is nadi mein hum
wo baat karta hai aur muskura ke dekhta hai
simaT gae hain faqat itni si KHushi mein hum
tumhaare baad bichhaDne mein Dar nahin lagta
mufid kaam kar aae the buzdili mein hum
KHuda KHitab-e-siyasat se dur rakhna hamein
sukun chahte hain yar zindagi mein hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.