wo jis ko yaad rakhna tha zamana bhul jati hun
wo jis ko yaad rakhna tha zamana bhul jati hun
Zarqa Naseem Ghalib
MORE BYZarqa Naseem Ghalib
vo jis ko yaad rakhnā thā zamāna bhuul jaatī huuñ
haqīqat jis meñ ho aisā fasāna bhuul jaatī huuñ
mirī yādoñ ke gul-dānoñ ko āḳhir kyā huā hai ye
huā jo paar dil ke vo nishāna bhuul jaatī huuñ
mirī bātoñ pe jab bhī vo ḳhafā hone pe aatā hai
maiñ hañs detī huuñ par us ko manānā bhuul jaatī huuñ
vo jab bhī phuul le kar raah meñ maujūd hotā hai
mujhe dekho maiñ us raste pe jaanā bhuul jaatī huuñ
kisī titlī ne mere kaan meñ chupke se kah Daalā
tumheñ dekhūñ to maiñ apnā Thikāna bhuul jaatī huuñ
bharī mahfil meñ kah detī huuñ afsāna mohabbat kā
guzartī hai jo dil par vo chhupānā bhuul jaatī huuñ
maiñ apne dil meñ itnā narm gosha rakhtī huuñ 'zarqā'
mohabbat meñ kisī ko āzmānā bhuul jaatī huuñ
wo jis ko yaad rakhna tha zamana bhul jati hun
haqiqat jis mein ho aisa fasana bhul jati hun
meri yaadon ke gul-danon ko aaKHir kya hua hai ye
hua jo par dil ke wo nishana bhul jati hun
meri baaton pe jab bhi wo KHafa hone pe aata hai
main hans deti hun par us ko manana bhul jati hun
wo jab bhi phul le kar rah mein maujud hota hai
mujhe dekho main us raste pe jaana bhul jati hun
kisi titli ne mere kan mein chupke se kah Dala
tumhein dekhun to main apna Thikana bhul jati hun
bhari mahfil mein kah deti hun afsana mohabbat ka
guzarti hai jo dil par wo chhupana bhul jati hun
main apne dil mein itna narm gosha rakhti hun 'zarqa'
mohabbat mein kisi ko aazmana bhul jati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.