wo jo aata tha kabhi pichhle pahar aata nahin
vo jo aatā thā kabhī pichhle pahar aatā nahīñ
ek saaya sā sar-e-dīvār-o-dar aatā nahīñ
āñsuoñ se sīñchte haiñ kisht-e-jāñ ye soch kar
ḳhushk ho jaa.eñ to peḌoñ par samar aatā nahīñ
yuuñ to ghir ghir ke ghaTā.eñ aatī rahtī haiñ magar
jo barasne vaalā bādal hai idhar aatā nahīñ
aur chīzoñ kī tarah ye bhī zamīñ kī den hai
āsmānoñ se utar kar dīda-var aatā nahīñ
kaise andāza lagā letī hai duniyā dekh kar
dard to mahsūs hotā hai nazar aatā nahīñ
sū-e-manzil fāsloñ ko saath le kar chal diye
ham ne jab dekhā ki koī ham-safar aatā nahīñ
ab to yuuñ lagtā hai 'nik.hat' jaane kyoñ har aadmī
apne ghar aatā hai jaise apne ghar aatā nahīñ
wo jo aata tha kabhi pichhle pahar aata nahin
ek saya sa sar-e-diwar-o-dar aata nahin
aansuon se sinchte hain kisht-e-jaan ye soch kar
KHushk ho jaen to peDon par samar aata nahin
yun to ghir ghir ke ghaTaen aati rahti hain magar
jo barasne wala baadal hai idhar aata nahin
aur chizon ki tarah ye bhi zamin ki den hai
aasmanon se utar kar dida-war aata nahin
kaise andaza laga leti hai duniya dekh kar
dard to mahsus hota hai nazar aata nahin
su-e-manzil faslon ko sath le kar chal diye
hum ne jab dekha ki koi ham-safar aata nahin
ab to yun lagta hai 'nikhat' jaane kyon har aadmi
apne ghar aata hai jaise apne ghar aata nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.