wo jo dariya ko kisi roz nazar aate the
vo jo dariyā ko kisī roz nazar aate the
mauj tham jaatī thī paanī meñ bhañvar aate the
shāḳh-dar-shāḳh jahāñ hijr khulā rahtā thā
zaḳhm-dar-zaḳhm usī rah meñ shajar aate the
ruup bahrūp meñ Dhalte hue din-bhar saa.e
sahn-e-tanhā.ī meñ har shaam utar aate the
koī manzil sar-e-manzil se bichhaḌ jaatī thī
fāsle roz na.e le ke safar aate the
kaun idrāk kī sarhad se guzarne vaale
haañ vahī jo ki ba-andāz-e-digar aate the
lams-e-jāñ-baḳhsh kā e.ajāz nahīñ to kyā thā
phuul khilte the daraḳhtoñ pe samar aate the
kitne inkār ma.ayyat meñ rahā karte the
haañ mirī samt vo 'iqrār' agar aate the
wo jo dariya ko kisi roz nazar aate the
mauj tham jati thi pani mein bhanwar aate the
shaKH-dar-shaKH jahan hijr khula rahta tha
zaKHm-dar-zaKHm usi rah mein shajar aate the
rup bahrup mein Dhalte hue din-bhar sae
sahn-e-tanhai mein har sham utar aate the
koi manzil sar-e-manzil se bichhaD jati thi
fasle roz nae le ke safar aate the
kaun idrak ki sarhad se guzarne wale
han wahi jo ki ba-andaz-e-digar aate the
lams-e-jaan-baKHsh ka eajaz nahin to kya tha
phul khilte the daraKHton pe samar aate the
kitne inkar mayyat mein raha karte the
han meri samt wo 'iqrar' agar aate the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.