Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo dekhe the maine kabhi KHwab mein

Robeena Meer

wo jo dekhe the maine kabhi KHwab mein

Robeena Meer

MORE BYRobeena Meer

    vo jo dekhe the maiñ ne kabhī ḳhvāb meñ

    bah ga.e phuul saare vo sailāb meñ

    nā-ḳhudā jo niyyat thī zāhir huī

    jab bhī kashtī mirī aa.ī girdāb meñ

    raaz ab tak kisī pe na ye khul sakā

    mar ga.iiñ machhliyāñ kaise tālāb meñ

    jitne bhī zaḳhm the ḳhud-ba-ḳhud bhar ga.e

    jab se dekhā hai ik daaġh mahtāb meñ

    ek muddat se ham un se kaT haiñ ga.e

    tazkire phir bhī hote haiñ ahbāb meñ

    apnī har baat 'robīna' had meñ rahī

    band haiñ ham to aḳhlāq-o-ādāb meñ

    wo jo dekhe the main ne kabhi KHwab mein

    bah gae phul sare wo sailab mein

    na-KHuda ki jo niyyat thi zahir hui

    jab bhi kashti meri aai girdab mein

    raaz ab tak kisi pe na ye khul saka

    mar gain machhliyan kaise talab mein

    jitne bhi zaKHm the KHud-ba-KHud bhar gae

    jab se dekha hai ek dagh mahtab mein

    ek muddat se hum un se kaT hain gae

    tazkire phir bhi hote hain ahbab mein

    apni har baat 'robina' had mein rahi

    band hain hum to aKHlaq-o-adab mein

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now