wo jo dikhne mein gulabon ki tarah hota hai
vo jo dikhne meñ gulāboñ kī tarah hotā hai
us kā lahja hī to ḳhāroñ kī tarah hotā hai
jin ke kapḌoñ pe lage rahte haiñ paivand ka.ī
un kā kirdār sitāroñ kī tarah hotā hai
maañ kā hañsnā to hai jannat kī zamānat lekin
maañ kā ġhussa bhī duāoñ kī tarah hotā hai
haath jab pyaar se vo rakhtā hai in āñkhoñ par
to añdherā bhī ujāloñ kī tarah hotā hai
naam sunte hī kamī dard meñ aa jaatī hai
aap kā zikr davāoñ kī tarah hotā hai
wo jo dikhne mein gulabon ki tarah hota hai
us ka lahja hi to KHaron ki tarah hota hai
jin ke kapDon pe lage rahte hain paiwand kai
un ka kirdar sitaron ki tarah hota hai
man ka hansna to hai jannat ki zamanat lekin
man ka ghussa bhi duaon ki tarah hota hai
hath jab pyar se wo rakhta hai in aankhon par
to andhera bhi ujalon ki tarah hota hai
nam sunte hi kami dard mein aa jati hai
aap ka zikr dawaon ki tarah hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.