wo jo ek phul hai patthar bhi to ho sakta hai
vo jo ik phuul hai patthar bhī to ho saktā hai
narm lahja kabhī ḳhanjar bhī to ho saktā hai
kyā zarūrī hai ki chāhat meñ vo siine se lage
is lipaTne kā sabab Dar bhī to ho saktā hai
duur se phuul jise aap ne bhijvā.e haiñ
aap se mil ke vo behtar bhī to ho saktā hai
ham jise aap ke āñchal kī dhanak samjhe haiñ
koī ḳhush-rang sā manzar bhī to ho saktā hai
kyā zarūrī hai ki darvāze pe patthar hī lage
dekh bāhar tirā 'nayyar' bhī to ho saktā hai
wo jo ek phul hai patthar bhi to ho sakta hai
narm lahja kabhi KHanjar bhi to ho sakta hai
kya zaruri hai ki chahat mein wo sine se lage
is lipaTne ka sabab Dar bhi to ho sakta hai
dur se phul jise aap ne bhijwae hain
aap se mil ke wo behtar bhi to ho sakta hai
hum jise aap ke aanchal ki dhanak samjhe hain
koi KHush-rang sa manzar bhi to ho sakta hai
kya zaruri hai ki darwaze pe patthar hi lage
dekh bahar tera 'nayyar' bhi to ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.