wo jo ek tanha shair tha
vo jo ik tanhā shā.ir thā
tanhā hī ġham kā lashkar thā
tum ko pā kar ham ne jaanā
tum ko kho denā behtar thā
ham ne jab jab use pukārā
jaane rab kā dhyān kidhar thā
ham ne jis ko chāhat samjhā
vo bas tanhā.ī kā Dar thā
yādeñ frame karā rakkhī thiiñ
dil bhī ek ajā.ib-ghar thā
'zīst' taḳhallus rakkhā ham ne
ham ko mar jaane kā Dar thā
wo jo ek tanha shair tha
tanha hi gham ka lashkar tha
tum ko pa kar hum ne jaana
tum ko kho dena behtar tha
hum ne jab jab use pukara
jaane rab ka dhyan kidhar tha
hum ne jis ko chahat samjha
wo bas tanhai ka Dar tha
yaaden frame kara rakkhi thin
dil bhi ek ajaib-ghar tha
'zist' taKHallus rakkha hum ne
hum ko mar jaane ka Dar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.