wo jo kahta tha zindagi mujhko
vo jo kahtā thā zindagī mujh ko
dard-e-dil de gayā vahī mujh ko
us se milne maiñ vaqt par jā.ūñ
us ne tohfe meñ dī ghaḌī mujh ko
terī furqat meñ jhiil sī āñkheñ
lag rahīñ jaane kyoñ nadī mujh ko
phir achānak kisī kī yaad aa.ī
jab milī merī diary mujh ko
ab añdhere sukūn dete haiñ
chubh rahī hai ye raushnī mujh ko
kitnī lambī hai hijr kī ghaḌiyāñ
ek ik pal lage sadī mujh ko
sab mayassar to hai mujhe lekin
khal rahī kyoñ tirī kamī mujh ko
ruuh thī qaid us 'ināyat kī
jism ne kar diyā barī mujh ko
wo jo kahta tha zindagi mujh ko
dard-e-dil de gaya wahi mujh ko
us se milne main waqt par jaun
us ne tohfe mein di ghaDi mujh ko
teri furqat mein jhil si aankhen
lag rahin jaane kyon nadi mujh ko
phir achanak kisi ki yaad aai
jab mili meri diary mujh ko
ab andhere sukun dete hain
chubh rahi hai ye raushni mujh ko
kitni lambi hai hijr ki ghaDiyan
ek ek pal lage sadi mujh ko
sab mayassar to hai mujhe lekin
khal rahi kyon teri kami mujh ko
ruh thi qaid us 'inayat ki
jism ne kar diya bari mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.