wo jo kisi ka rup dhaar kar aaya tha
vo jo kisī kā ruup dhaar kar aayā thā
mere andar basne vaalā saayā thā
vo dukh bhī kyuuñ ham ko tanhā chhoḌ ga.e
kyā kyā chhoḌ ke ham ne jinheñ apnāyā thā
ḳhud tum ne darvāze band rakkhe varna
maiñ ik taaza havā kā jhoñkā laayā thā
merī ik āvāz se saarī TuuT ga.ī
vo dīvāreñ jin par tū itrāyā thā
vīrāñ dil meñ ġham ke priit bhaTakte the
merī chup par kisī sadā kā saayā thā
is meñ ek janam-bhar ke dukh simTe the
vo aañsū jo palkoñ par lahrāyā thā
wo jo kisi ka rup dhaar kar aaya tha
mere andar basne wala saya tha
wo dukh bhi kyun hum ko tanha chhoD gae
kya kya chhoD ke hum ne jinhen apnaya tha
KHud tum ne darwaze band rakkhe warna
main ek taza hawa ka jhonka laya tha
meri ek aawaz se sari TuT gai
wo diwaren jin par tu itraya tha
viran dil mein gham ke prit bhaTakte the
meri chup par kisi sada ka saya tha
is mein ek janam-bhar ke dukh simTe the
wo aansu jo palkon par lahraya tha
- Book : Dasht-e-Sada (Pg. 48)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.