wo jo mail-ba-jafa lagta hai
vo jo mā.il-ba-jafā lagtā hai
ho na ho mujh se ḳhafā lagtā hai
kuchh na bolūñ to huuñ mujrim lekin
kuchh kahūñ bhī to burā lagtā hai
dil yaqīnan hai kisī par maa.il
dard pahle se sivā lagtā hai
zikr us shoḳh kā jab bhī chheḌūñ
sab kaheñ aap kā kyā lagtā hai
ho sake jab na ġham-e-dil kā ilaaj
dard phir ḳhud hī davā lagtā hai
shoḳh āñchal meñ damaktā mukhḌā
dhuup meñ phuul khilā lagtā hai
guftugū jaise mahak phūloñ kī
chaal meñ misl-e-sabā lagtā hai
wo jo mail-ba-jafa lagta hai
ho na ho mujh se KHafa lagta hai
kuchh na bolun to hun mujrim lekin
kuchh kahun bhi to bura lagta hai
dil yaqinan hai kisi par mail
dard pahle se siwa lagta hai
zikr us shoKH ka jab bhi chheDun
sab kahen aap ka kya lagta hai
ho sake jab na gham-e-dil ka ilaj
dard phir KHud hi dawa lagta hai
shoKH aanchal mein damakta mukhDa
dhup mein phul khila lagta hai
guftugu jaise mahak phulon ki
chaal mein misl-e-saba lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.