wo jo mausam-e-garma ki pahli barish ka chhinTa tha
vo jo mausam-e-garmā kī pahlī bārish kā chhīñTā thā
tap vaale āñgan meñ soñdhī ḳhushbū ban kar bikhrā thā
us kī bābat pahroñ sochte rahnā achchhā lagtā thā
baat koī bhī yaad nahīñ haañ lahja dhaḌkan jaisā thā
ham ne kab jhūle Daale the ham ne kab peñgeñ lī thiiñ
peḌ kī sab shāḳhoñ pe zamāne kī āñkhoñ kā pahrā thā
ham mohtāt bahut the phir kyoñ aise dar par dastak dī
jis ke gharāne kī har pagḌī kā har shamla ūñchā thā
nazr kiyā har shāhjahāñ ne har mumtāz ko taaj mahal
dil kā rāj-siñghāsan denā dil vāloñ kā ḳhāsā thā
haath meñ us kā haath nahīñ zanjīr hai guzre lamhoñ kī
bijlī chamkī barkhā barsī kul qissa do pal kā thā
ishq kiyā yā riit nibhā.ī kaise batā.eñ kyā biitī
āñkhoñ meñ ik sail-e-balā aur dil meñ taptā sahrā thā
bābul kā āñgan sājan kā dvaar parā.e the donoñ
kaun sī chaukhaT aurat kī thī kaun sā ambar us kā thā
koī agar pūchhe kah denā 'tal.at' ye bhī bhuul ga.e
jis kāran ham ḳhud ko bhūle vo manmohan kaisā thā
wo jo mausam-e-garma ki pahli barish ka chhinTa tha
tap wale aangan mein sondhi KHushbu ban kar bikhra tha
us ki babat pahron sochte rahna achchha lagta tha
baat koi bhi yaad nahin han lahja dhaDkan jaisa tha
hum ne kab jhule Dale the hum ne kab pengen li thin
peD ki sab shaKHon pe zamane ki aankhon ka pahra tha
hum mohtat bahut the phir kyon aise dar par dastak di
jis ke gharane ki har pagDi ka har shamla uncha tha
nazr kiya har shahjahan ne har mumtaz ko taj mahal
dil ka raj-singhasan dena dil walon ka KHasa tha
hath mein us ka hath nahin zanjir hai guzre lamhon ki
bijli chamki barkha barsi kul qissa do pal ka tha
ishq kiya ya rit nibhai kaise bataen kya biti
aankhon mein ek sail-e-bala aur dil mein tapta sahra tha
babul ka aangan sajan ka dwar parae the donon
kaun si chaukhaT aurat ki thi kaun sa ambar us ka tha
koi agar puchhe kah dena 'talat' ye bhi bhul gae
jis karan hum KHud ko bhule wo manmohan kaisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.