wo jo mujhko sulata raha der tak
vo jo mujh ko sulātā rahā der tak
mere sapne churātā rahā der tak
bhuul jā.ūñgā kyā is tarah maiñ use
mujh ko likh likh miTātā rahā der tak
log shams-o-qamar le ke chalte bane
maiñ sitāre banātā rahā der tak
ban sañvar ke yūñhī muskurāte hue
aa.ine ko jalātā rahā der tak
ḳhud se laḌtā rahā maiñ usī kī tarah
phir maiñ ḳhud ko manātā rahā der tak
us ne jab jab judā.ī kī bāteñ kahīñ
maiñ bahāne banātā rahā der tak
jaane kyā baat thī vaqt-e-ruḳhsat ki vo
haath mujh se chhuḌātā rahā der tak
maiñ ne dhaḌkan ko apnī sañbhāle rakhā
vo bhī aañsū chhupātā rahā der tak
saare ilzām apne hī sar le liye
maiñ ta'alluq bachātā rahā der tak
wo jo mujh ko sulata raha der tak
mere sapne churaata raha der tak
bhul jaunga kya is tarah main use
mujh ko likh likh miTata raha der tak
log shams-o-qamar le ke chalte bane
main sitare banata raha der tak
ban sanwar ke yunhi muskuraate hue
aaine ko jalata raha der tak
KHud se laDta raha main usi ki tarah
phir main KHud ko manata raha der tak
us ne jab jab judai ki baaten kahin
main bahane banata raha der tak
jaane kya baat thi waqt-e-ruKHsat ki wo
hath mujh se chhuData raha der tak
main ne dhaDkan ko apni sanbhaale rakha
wo bhi aansu chhupata raha der tak
sare ilzam apne hi sar le liye
main ta'alluq bachata raha der tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.