wo jo mujhse KHafa nahin hota
vo jo mujh se ḳhafā nahīñ hotā
maiñ bhī us se judā nahīñ hotā
kaash rahbar milā nahīñ hotā
maiñ safar meñ luTā nahīñ hotā
ham to kab ke bikhar ga.e hote
jo tirā aasrā nahīñ hotā
ham sharābī agar nahīñ bante
ek bhī mai-kada nahīñ hotā
jis jagah qurbateñ panap jaa.eñ
us jagah fāsla nahīñ hotā
aag nafrat kī jis meñ lag jaa.e
peḌ phir vo harā nahīñ hotā
mandiroñ masjidoñ pe laḌte ho
kyā diloñ meñ ḳhudā nahīñ hotā
maslahat kuchh to hai 'hilāl' is meñ
zalzala yuuñ bapā nahīñ hotā
wo jo mujh se KHafa nahin hota
main bhi us se juda nahin hota
kash rahbar mila nahin hota
main safar mein luTa nahin hota
hum to kab ke bikhar gae hote
jo tera aasra nahin hota
hum sharabi agar nahin bante
ek bhi mai-kada nahin hota
jis jagah qurbaten panap jaen
us jagah fasla nahin hota
aag nafrat ki jis mein lag jae
peD phir wo hara nahin hota
mandiron masjidon pe laDte ho
kya dilon mein KHuda nahin hota
maslahat kuchh to hai 'hilal' is mein
zalzala yun bapa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.