Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo raaton ki tanhaiyon mein likhe chahaton ke sahife sabhi phaT gae

Azhar Kamal Khan

wo jo raaton ki tanhaiyon mein likhe chahaton ke sahife sabhi phaT gae

Azhar Kamal Khan

MORE BYAzhar Kamal Khan

    vo jo rātoñ tanhā.iyoñ meñ likhe chāhatoñ ke sahīfe sabhī phaT ga.e

    ham pe hañste rahe vo sabhī rāste ham jahāñ bhī tirī sun ke aahaT ga.e

    ranjisheñ har taraf panapne lagīñ pyaar ke rāste band hone lage

    shahr meñ nafratoñ havā jab chalī buġhz gard se zehn-o-dil aT ga.e

    dekhte dekhte jānte būjhte ye judā.ī hamārā muqaddar huī

    pahle socheñ baTīñ phir safar baT gayā zād-e-rah jab baTā rāste baT ga.e

    dostoñ vafāoñ pe nāzān the itnā puujā ki un ko ḳhudā kar diyā

    ḳhud ko adnā kiyā un ko a.alā kiyā sar jhukā.e ga.e aur sar kaT ga.e

    maiñ ne sochā hai aksar is baat par kaisā aaseb chhāyā hai har zaat par

    din jo niklā to saa.e the qad se baḌe shaam hote jismoñ se kyoñ ghaT ga.e

    tiir pahuñche na dushman ke ḳhemoñ talak apne yāroñ dekhī zarā jhalak

    yaar apnā muqaddar to honā thā jab hamāre muqābil vo DaT ga.e

    aap saath ham ko matlūb thā aap raah sang hargiz na thā

    aap ne jab kahā saath chal diye aap ne jab kahā raah se haT ga.e

    is baras pyaar meñ phir ḳhasāra huā ham ne sochā thā anmol ho jā.egā

    is jahāñ meñ har ik shai qīmat baḌhī is baras pyaar ke daam phir ghaT ga.e

    biij bo.e ga.e ḳhuuñ pilā.e ga.e un chhāñv meñ jīvan bitā.e ga.e

    mere gaañv meñ basne lagī bhuuk to peḌ jitne purāne the sab kaT ga.e

    kis ne likhī ye qismat tahrīr thī ki un ye apnī taqsīr thī

    jin ūñchī falak se bhī parvāz thī un parindoñ ke aksar par kaT ga.e

    wo jo raaton ki tanhaiyon mein likhe chahaton ke sahife sabhi phaT gae

    hum pe hanste rahe wo sabhi raste hum jahan bhi teri sun ke aahaT gae

    ranjishen har taraf hi panapne lagin pyar ke raste band hone lage

    shahr mein nafraton ki hawa jab chali bughz ki gard se zehn-o-dil aT gae

    dekhte dekhte jaante bujhte ye judai hamara muqaddar hui

    pahle sochen baTin phir safar baT gaya zad-e-rah jab baTa raste baT gae

    doston ki wafaon pe nazan the itna puja ki un ko KHuda kar diya

    KHud ko adna kiya un ko aala kiya sar jhukae gae aur sar kaT gae

    main ne socha hai aksar hi is baat par kaisa aaseb chhaya hai har zat par

    din jo nikla to sae the qad se baDe sham hote hi jismon se kyon ghaT gae

    tir pahunche na dushman ke KHemon talak apne yaron ki dekhi zara si jhalak

    yar apna muqaddar to hona hi tha jab hamare muqabil hi wo DaT gae

    aap ka sath hi hum ko matlub tha aap ki rah ka sang hargiz na tha

    aap ne jab kaha sath hi chal diye aap ne jab kaha rah se haT gae

    is baras pyar mein phir KHasara hua hum ne socha tha anmol ho jaega

    is jahan mein har ek shai ki qimat baDhi is baras pyar ke dam phir ghaT gae

    bij boe gae KHun pilae gae un ki chhanw mein jiwan bitae gae

    mere ganw mein basne lagi bhuk to peD jitne purane the sab kaT gae

    kis ne likhi ye qismat ki tahrir thi ya ki un ki ye apni hi taqsir thi

    jin ki unchi falak se bhi parwaz thi un parindon ke aksar hi par kaT gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now