wo jo ro raha tha wo hans paDa wo jo hans raha tha wo ro diya
wo jo ro raha tha wo hans paDa wo jo hans raha tha wo ro diya
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
vo jo ro rahā thā vo hañs paḌā vo jo hañs rahā thā vo ro diyā
yahāñ ik jazīra banā diyā vahāñ ik jazīra Dubo diyā
ye banāne vaale kā shauq hai kahīñ haar hai kahīñ tauq hai
kahīñ vaah hai kahīñ aah hai kahīñ pā liyā kahīñ kho diyā
vo asīr-e-husn-e-bayān huuñ maiñ zabān kā vo kisān huuñ
ki zamīn mujh ko jahāñ dikhī vahīñ ik ḳhayāl ko bo diyā
vo jahān-e-hast ke motiyoñ ko piro rahā thā kamāl meñ
maiñ bhī sāmne thā paḌā huā to mujhe bhī us ne piro diyā
na tilism hai na ye sahar hai ye kamāl-e-kūza-e-sher hai
ki usī se bahr ravāñ kiyā aur usī meñ bahr samo diyā
wo jo ro raha tha wo hans paDa wo jo hans raha tha wo ro diya
yahan ek jazira bana diya wahan ek jazira Dubo diya
ye banane wale ka shauq hai kahin haar hai kahin tauq hai
kahin wah hai kahin aah hai kahin pa liya kahin kho diya
wo asir-e-husn-e-bayan hun main zaban ka wo kisan hun
ki zamin mujh ko jahan dikhi wahin ek KHayal ko bo diya
wo jahan-e-hast ke motiyon ko piro raha tha kamal mein
main bhi samne tha paDa hua to mujhe bhi us ne piro diya
na tilism hai na ye sahar hai ye kamal-e-kuza-e-sher hai
ki usi se bahr rawan kiya aur usi mein bahr samo diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.