wo jo shikwe kar rahe the talKHi-e-haalat ke
vo jo shikve kar rahe the talḳhī-e-hālāt ke
aa ga.e zad meñ sabhī be-mausamī barsāt ke
pahle pahle maiñ kisī bhī baat par rotā na thā
phir mirī āñkhoñ meñ ḳheme lag ga.e sādāt ke
kholī jab us ḳhūb-rū ne bazm meñ apnī zabāñ
phuul khilne lag ga.e har samt mauzuāt ke
us se baḌh kar kaun kar saktā hai zeb-e-dāstāñ
jis ne sau matlab nikāle haiñ tumhārī baat ke
istiḳhāre meñ jab aaya hai ki donoñ ek hoñ
phir masā.il kis liye haiñ maslakoñ ke zaat ke
kah rahā hai aaj bhī āshūr kī shab kā charāġh
bujh rahe haiñ din ke andhere meñ sūraj raat ke
wo jo shikwe kar rahe the talKHi-e-haalat ke
aa gae zad mein sabhi be-mausami barsat ke
pahle pahle main kisi bhi baat par rota na tha
phir meri aankhon mein KHeme lag gae sadat ke
kholi jab us KHub-ru ne bazm mein apni zaban
phul khilne lag gae har samt mauzuat ke
us se baDh kar kaun kar sakta hai zeb-e-dastan
jis ne sau matlab nikale hain tumhaari baat ke
istiKHare mein jab aaya hai ki donon ek hon
phir masail kis liye hain maslakon ke zat ke
kah raha hai aaj bhi aashur ki shab ka charagh
bujh rahe hain din ke andhere mein suraj raat ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.