wo jo tumne gham diya tha mujhe sazgar hota
vo jo tum ne ġham diyā thā mujhe sāzgār hotā
agar itnā aur hotā ki vo ustuvār hotā
tirī be-ruḳhī ke sadqe mujhe aa gayā hai jiinā
na to rūThtā na zālim mujhe ġham se pyaar hotā
shab-o-roz ke nazāre ye karishme rañg-o-bū ke
ye tilism toḌ detā agar iḳhtiyār hotā
use vaqf-e-ḳhāk kar ke kiyā ḳhuub tū ne varna
ye vo zarra thā ki uThtā to falak pe baar hotā
kabhī ek baar bhī to mirā tazkira chaman meñ
ba-zabān-e-gul na hotā ba-zabān-e-ḳhār hotā
lo suno ki ab zamāna tumheñ kah rahā hai kyā kuchh
yahī maiñ jo arz kartā tumheñ nāgavār hotā
mire pās-e-zabt-e-ġham ko na huā pasand varna
na mujhe qarār hotā na tumheñ qarār hotā
are 'nūr' kaun suntā tirā uzr-e-be-gunāhī
tū gunāh bhī na kartā to gunāhgār hotā
wo jo tum ne gham diya tha mujhe sazgar hota
agar itna aur hota ki wo ustuwar hota
teri be-ruKHi ke sadqe mujhe aa gaya hai jina
na to ruThta na zalim mujhe gham se pyar hota
shab-o-roz ke nazare ye karishme rang-o-bu ke
ye tilism toD deta agar iKHtiyar hota
use waqf-e-KHak kar ke kiya KHub tu ne warna
ye wo zarra tha ki uThta to falak pe bar hota
kabhi ek bar bhi to mera tazkira chaman mein
ba-zaban-e-gul na hota ba-zaban-e-KHar hota
lo suno ki ab zamana tumhein kah raha hai kya kuchh
yahi main jo arz karta tumhein nagawar hota
mere pas-e-zabt-e-gham ko na hua pasand warna
na mujhe qarar hota na tumhein qarar hota
are 'nur' kaun sunta tera uzr-e-be-gunahi
tu gunah bhi na karta to gunahgar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.