wo jo ufuq ke par hai manzar chhupa hua
vo jo ufuq ke paar hai manzar chhupā huā
us meñ zarūr hai tirā paikar chhupā huā
Dar hai ki bah na jaa.e kahīñ āñsuoñ ke saath
ik aks merī aañkh ke andar chhupā huā
kyā jaane kab ubal paḌe dhartī ko chiir kar
zer-e-zamīñ lahū kā samundar chhupā huā
maiñ is liye bhī dost banātā huuñ kam se kam
jaane kis āstīñ meñ ho ḳhanjar chhupā huā
sairāb kaun aur yahāñ tishna-lab hai kaun
har aañkh meñ hai dasht kā manzar chhupā huā
wo jo ufuq ke par hai manzar chhupa hua
us mein zarur hai tera paikar chhupa hua
Dar hai ki bah na jae kahin aansuon ke sath
ek aks meri aankh ke andar chhupa hua
kya jaane kab ubal paDe dharti ko chir kar
zer-e-zamin lahu ka samundar chhupa hua
main is liye bhi dost banata hun kam se kam
jaane kis aastin mein ho KHanjar chhupa hua
sairab kaun aur yahan tishna-lab hai kaun
har aankh mein hai dasht ka manzar chhupa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.