wo jo umr bhar mein kahi gai sar-e-sham-e-hijr likhi gai
wo jo umr bhar mein kahi gai sar-e-sham-e-hijr likhi gai
Quaiser Khalid
MORE BYQuaiser Khalid
vo jo umr bhar meñ kahī ga.ī sar-e-shām-e-hijr likhī ga.ī
vahī dāstān-e-vafā mirī mare hoñT kis liye sī ga.ī
hue qaid jurm-e-vafā pe bhī ki hisār-e-zulm nasīb thā
mirī fard-e-jurm ajiib hai jo mire lahū se likhī ga.ī
ye shu.ūr-e-zīst hai nāseho nahīñ kaam deñgī nasīhateñ
mire shahr-e-ishq tirī binā mirī zaat se hī rakhī ga.ī
na.e naam manzar-e-auj par haiñ na.e hī qisse nisāb meñ
jo shahādatoñ kī thī dāstāñ vahī hāshiye pe rakhī ga.ī
jo paḌhā thā dars-e-nisāb meñ vo nazar na aayā tamām umr
na.e tajrabāt-e-jahāñ liye sar-e-hashr bhī be-kasī ga.ī
kahīñ mil na paa.e vo dām-e-fan the jo zehn-o-dil meñ liye hue
vo amīr-e-shahr vo shahr-e-zar kī vo vahāñ bhī to bebasī ga.ī
vo murād-e-ḳhās jo umr bhar rahī jān-o-dil se azīz-tar
hue ham kabhī jo qarīb-tar to jhijhak hī hoñToñ ko sī ga.ī
na to ḳhvāhisheñ kabhī kam huiiñ na hī aas TuuTī kabhī mirī
thā ajiib rishta yaqīn se mire saath hī muflisī ga.ī
wo jo umr bhar mein kahi gai sar-e-sham-e-hijr likhi gai
wahi dastan-e-wafa meri mare honT kis liye si gai
hue qaid jurm-e-wafa pe bhi ki hisar-e-zulm nasib tha
meri fard-e-jurm ajib hai jo mere lahu se likhi gai
ye shuur-e-zist hai naseho nahin kaam dengi nasihaten
mere shahr-e-ishq teri bina meri zat se hi rakhi gai
nae nam manzar-e-auj par hain nae hi qisse nisab mein
jo shahadaton ki thi dastan wahi hashiye pe rakhi gai
jo paDha tha dars-e-nisab mein wo nazar na aaya tamam umr
nae tajrabaat-e-jahan liye sar-e-hashr bhi be-kasi gai
kahin mil na pae wo dam-e-fan the jo zehn-o-dil mein liye hue
wo amir-e-shahr wo shahr-e-zar ki wo wahan bhi to bebasi gai
wo murad-e-KHas jo umr bhar rahi jaan-o-dil se aziz-tar
hue hum kabhi jo qarib-tar to jhijhak hi honTon ko si gai
na to KHwahishen kabhi kam huin na hi aas TuTi kabhi meri
tha ajib rishta yaqin se mere sath hi muflisi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.