wo juda ho ke KHud hua tanha
vo judā ho ke ḳhud huā tanhā
aur mujh ko bhī kar gayā tanhā
maiñ bhī kuchh is tarah se tanhā huuñ
jaise mazlūm kī sadā tanhā
chāñdnī to bhaTaktī phirtī thī
chāñd bhī raat bhar rahā tanhā
yaad terī vahāñ chalī aa.ī
mujh ko dekhā jahāñ zarā tanhā
aao us ko bulā ke laate haiñ
raat kaT jā.egī bhalā tanhā
us ko ruḳhsat to kar diyā 'zāhid'
phir na jaane kahāñ gayā tanhā
wo juda ho ke KHud hua tanha
aur mujh ko bhi kar gaya tanha
main bhi kuchh is tarah se tanha hun
jaise mazlum ki sada tanha
chandni to bhaTakti phirti thi
chand bhi raat bhar raha tanha
yaad teri wahan chali aai
mujh ko dekha jahan zara tanha
aao us ko bula ke late hain
raat kaT jaegi bhala tanha
us ko ruKHsat to kar diya 'zahid'
phir na jaane kahan gaya tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.