wo kaam kijiye jo pasand aae chaar ke
vo kaam kījiye jo pasand aa.e chaar ke
lamhāt-e-musta.ār nahīñ e.atibār ke
dil liije jaan liije sitam kījiye magar
ta.ane haiñ nāgavār hameñ baar baar ke
aa.eñ na aa.eñ aap ko ab iḳhtiyār hai
ham to chale haiñ kaaT ke din intizār ke
jo kuchh haiñ daaġh aaj ruḳh-e-māhtāb par
vo naqsh to nahīñ haiñ dil-e-dāġh-dār ke
puḳhta agar hoñ apne azā.em to jān-e-man
unvān hī badal deñ ġham-e-rozgār ke
shauq-e-shikār ho to baneñ māhir-e-shikār
varna shikār hoñge bajā.e shikār ke
lā sāqiyā bazūd pilā ab sharāb-e-nāb
varna guzar na jaa.eñ kahīñ din bahār ke
'ḳhākī' har ek sher murassā hai is liye
hāsid bhī daad deñge yaqīnan pukār ke
wo kaam kijiye jo pasand aae chaar ke
lamhat-e-mustaar nahin eatibar ke
dil lije jaan lije sitam kijiye magar
tane hain nagawar hamein bar bar ke
aaen na aaen aap ko ab iKHtiyar hai
hum to chale hain kaT ke din intizar ke
jo kuchh hain dagh aaj ruKH-e-mahtab par
wo naqsh to nahin hain dil-e-dagh-dar ke
puKHta agar hon apne azaem to jaan-e-man
unwan hi badal den gham-e-rozgar ke
shauq-e-shikar ho to banen mahir-e-shikar
warna shikar honge bajae shikar ke
la saqiya bazud pila ab sharab-e-nab
warna guzar na jaen kahin din bahaar ke
'KHaki' har ek sher murassa hai is liye
hasid bhi dad denge yaqinan pukar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.