wo kash fikr ko itni uDan de deta
vo kaash fikr ko itnī uḌaan de detā
maiñ apne 'aks ke muñh meñ zabān de detā
agar shu'ūr kī dastak pe kaan de detā
to dasht-e-fikr ke murdoñ meñ jaan de detā
tirī jagah pe agar sang ko rakhā hotā
to dast-e-dil pe yaqīnan azaan de detā
ġhunūdgī mirā jiinā harām kar detī
sukūt-e-shab meñ jo aahaT pe dhyān de detā
fasīl-e-chashm pe har shab diyā na jal paatā
maiñ us ko ġham kā agar ye makān de detā
mujhe har ek sabaq karbalā se mil jaatā
maiñ tishnagī kā agar imtihān de detā
tumhāre 'ishq kā kalma jo paḌh liyā hotā
to dasht-e-hijr meñ jā kar azaan de detā
zamīn phir mujhe hairat se dekhtī 'shārib'
maiñ us ke sar pe agar āsmān de detā
wo kash fikr ko itni uDan de deta
main apne 'aks ke munh mein zaban de deta
agar shu'ur ki dastak pe kan de deta
to dasht-e-fikr ke murdon mein jaan de deta
teri jagah pe agar sang ko rakha hota
to dast-e-dil pe yaqinan azan de deta
ghunudgi mera jina haram kar deti
sukut-e-shab mein jo aahaT pe dhyan de deta
fasil-e-chashm pe har shab diya na jal pata
main us ko gham ka agar ye makan de deta
mujhe har ek sabaq karbala se mil jata
main tishnagi ka agar imtihan de deta
tumhaare 'ishq ka kalma jo paDh liya hota
to dasht-e-hijr mein ja kar azan de deta
zamin phir mujhe hairat se dekhti 'shaarib'
main us ke sar pe agar aasman de deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.