wo kabhi ishq ka unwan hua karta tha
vo kabhī 'ishq kā 'unvān huā kartā thā
maiñ bhī tab 'ishq pe qurbān huā kartā thā
'ishq ne mere ḳhudā kar diyā us ko shāyad
pahle pahle vo bhī insān huā kartā thā
jo abhī jaan kā dushman hai kabhī aisā thā
haañ vo hī shaḳhs mirī jaan huā kartā thā
kaun guzrā hai ki is dil meñ baḌī raunaq hai
ye to vo ghar hai jo vīrān huā kartā thā
shā'irī karte hue jaan ga.e haiñ kuchh log
varna gumnām sā 'armān' huā kartā thā
wo kabhi 'ishq ka 'unwan hua karta tha
main bhi tab 'ishq pe qurban hua karta tha
'ishq ne mere KHuda kar diya us ko shayad
pahle pahle wo bhi insan hua karta tha
jo abhi jaan ka dushman hai kabhi aisa tha
han wo hi shaKHs meri jaan hua karta tha
kaun guzra hai ki is dil mein baDi raunaq hai
ye to wo ghar hai jo viran hua karta tha
sha'iri karte hue jaan gae hain kuchh log
warna gumnam sa 'arman' hua karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.