wo kabhi raushni se mil na sake
vo kabhī raushnī se mil na sake
jo ġham-e-tīrgī se mil na sake
aap ke dar se uTh ke dīvāne
phir kabhī zindagī se mil na sake
jis kī har saañs meñ parastish kī
ham usī ajnabī se mil na sake
pās-e-insāniyat rahā har dam
ye bhalī ye burī se mil na sake
un kā jiinā bhī koī jiinā hai
jo kabhī aap hī se mil na sake
zabt-e-ġham se rahīñ mulāqāteñ
ham ġham-e-barhamī se mil na sake
shikva ġhairoñ se kyā kareñge 'zamīr'
dost bhī dostī se mil na sake
wo kabhi raushni se mil na sake
jo gham-e-tirgi se mil na sake
aap ke dar se uTh ke diwane
phir kabhi zindagi se mil na sake
jis ki har sans mein parastish ki
hum usi ajnabi se mil na sake
pas-e-insaniyat raha har dam
ye bhali ye buri se mil na sake
un ka jina bhi koi jina hai
jo kabhi aap hi se mil na sake
zabt-e-gham se rahin mulaqaten
hum gham-e-barhami se mil na sake
shikwa ghairon se kya karenge 'zamir'
dost bhi dosti se mil na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.