wo kah rahe hain ki ye zyaadti hai thoDi si
wo kah rahe hain ki ye zyaadti hai thoDi si
Ghulam Mustafa Beg Sabir Barari
MORE BYGhulam Mustafa Beg Sabir Barari
vo kah rahe haiñ ki ye zyādtī hai thoḌī sī
abhī to mashq-e-sitam ham ne kī hai thoḌī sī
mirī ravish meñ abhī kajravī hai thoḌī sī
sunā hai aisī havā bhī uḌī hai thoḌī sī
kahīñ ye tark-e-ta.alluq kī ibtidā to nahīñ
ab us kī yaad se vābastagī hai thoḌī sī
qarīb jo the mire vo qarīb-tar na hue
mire ḳhulūs meñ shāyad kamī hai thoḌī sī
zarā tū itnī hī pī kar to dekh ai vaa.iz
jo mere jaam kī tah meñ bachī hai thoḌī sī
ḳhudā milegā na us vaqt tak tumheñ 'sābir'
junūn-e-shauq meñ jab tak ḳhudī hai thoḌī sī
wo kah rahe hain ki ye zyaadti hai thoDi si
abhi to mashq-e-sitam hum ne ki hai thoDi si
meri rawish mein abhi kajrawi hai thoDi si
suna hai aisi hawa bhi uDi hai thoDi si
kahin ye tark-e-talluq ki ibtida to nahin
ab us ki yaad se wabastagi hai thoDi si
qarib jo the mere wo qarib-tar na hue
mere KHulus mein shayad kami hai thoDi si
zara tu itni hi pi kar to dekh ai waiz
jo mere jam ki tah mein bachi hai thoDi si
KHuda milega na us waqt tak tumhein 'sabir'
junun-e-shauq mein jab tak KHudi hai thoDi si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.