wo kahte hain ba-asani na hasrat dil se niklegi
wo kahte hain ba-asani na hasrat dil se niklegi
Fazal Husain Sabir
MORE BYFazal Husain Sabir
vo kahte haiñ bā-āsānī na hasrat dil se niklegī
jo niklegī to ai 'sābir' baḌī mushkil se niklegī
mohabbat aap kī hargiz na mere dil se niklegī
qayāmat meñ bhī ye lailā na is mahmil se niklegī
chalo achchhā hai rahne do yūñhī armāñ bharā mujh ko
na tum ghar mere aaoge na hasrat dil se niklegī
yahīñ ham ḳhaak ho jā.eñge jal kar misl-e-parvāna
hamārī laash bhī zālim na is mahfil se niklegī
faqīroñ kī duā lo husn kī ḳhairāt do bose
vahī maqbūl hogī jo lab-e-sā.il se niklegī
na vaqt-e-naz.a bhī aaya ayādat ko tū ai zālim
hamārī jaañ to niklegī magar mushkil se niklegī
raheñ āvāra-e-sahrā nahīñ ham tujh se dīvāne
hamārī laash majnūñ kūcha-e-qātil se niklegī
na kū-e-yār se ai qais tujh ko vāpas aanā thā
tamanna ḳhaak terī sa.i-e-lā-hāsil se niklegī
sarā-e-dahr meñ ham is liye Thahre haiñ dam bhar ko
ki rāh-e-ḳhāna-e-dil-dār usī mahfil se niklegī
hameñ muñh pher kar tū zab.h kartā hai to kar lekin
hamārī jaan ai qātil baḌī mushkil se niklegī
nahīñ is tarah meñ kahnā ġhazal āsān ai 'sābir'
girah jo paḌ ga.ī ranjish kī vo mushkil se niklegī
wo kahte hain ba-asani na hasrat dil se niklegi
jo niklegi to ai 'sabir' baDi mushkil se niklegi
mohabbat aap ki hargiz na mere dil se niklegi
qayamat mein bhi ye laila na is mahmil se niklegi
chalo achchha hai rahne do yunhi arman bhara mujh ko
na tum ghar mere aaoge na hasrat dil se niklegi
yahin hum KHak ho jaenge jal kar misl-e-parwana
hamari lash bhi zalim na is mahfil se niklegi
faqiron ki dua lo husn ki KHairaat do bose
wahi maqbul hogi jo lab-e-sail se niklegi
na waqt-e-naza bhi aaya ayaadat ko tu ai zalim
hamari jaan to niklegi magar mushkil se niklegi
rahen aawara-e-sahra nahin hum tujh se diwane
hamari lash majnun kucha-e-qatil se niklegi
na ku-e-yar se ai qais tujh ko wapas aana tha
tamanna KHak teri sai-e-la-hasil se niklegi
sara-e-dahr mein hum is liye Thahre hain dam bhar ko
ki rah-e-KHana-e-dil-dar usi mahfil se niklegi
hamein munh pher kar tu zabh karta hai to kar lekin
hamari jaan ai qatil baDi mushkil se niklegi
nahin is tarah mein kahna ghazal aasan ai 'sabir'
girah jo paD gai ranjish ki wo mushkil se niklegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.