wo kaise jaan gaya maine kuchh kaha bhi nahin
vo kaise jaan gayā maiñ ne kuchh kahā bhī nahīñ
asar duā meñ nahīñ hai to vo duā bhī nahīñ
mirī sadā kā yaqīnan ye vāqi.a bhī nahīñ
sukūn-e-dil ke liye lab pe ab duā bhī nahīñ
mirī ġhazal meñ ujāloñ kā tazkira bhī nahīñ
ḳhayāl aisā kisī ne mujhe diyā bhī nahīñ
baḌe ḳhalīq paḌosī to haiñ mahalle ke
magar kisī kā koī dard jāntā bhī nahīñ
ye raushnī kī kiran kis tarah yahāñ aa.ī
mire makān meñ rauzan koī banā bhī nahīñ
ajiib baat hai mahfil meñ chhā gayā hai sukūt
maiñ ḳhush-gulū bhī nahīñ aur ḳhush-navā bhī nahīñ
nuqūsh-e-zaḳhm haiñ kitne maiñ dekhtā kaise
nazar ke sāmne shaffāf aa.ina bhī nahīñ
wo kaise jaan gaya main ne kuchh kaha bhi nahin
asar dua mein nahin hai to wo dua bhi nahin
meri sada ka yaqinan ye waqia bhi nahin
sukun-e-dil ke liye lab pe ab dua bhi nahin
meri ghazal mein ujalon ka tazkira bhi nahin
KHayal aisa kisi ne mujhe diya bhi nahin
baDe KHaliq paDosi to hain mahalle ke
magar kisi ka koi dard jaanta bhi nahin
ye raushni ki kiran kis tarah yahan aai
mere makan mein rauzan koi bana bhi nahin
ajib baat hai mahfil mein chha gaya hai sukut
main KHush-gulu bhi nahin aur KHush-nawa bhi nahin
nuqush-e-zaKHm hain kitne main dekhta kaise
nazar ke samne shaffaf aaina bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.