wo kaun hai jo balaon ko Tal deta hai
vo kaun hai jo balāoñ ko Taal detā hai
maiñ Dūbtā huuñ to dariyā uchhāl detā hai
vo thoḌī der ko aatā hai aur bastī ke
tamām logoñ ko uljhan meñ Daal detā hai
ab aise shaḳhs ko kahte haiñ log dīvāna
jo kar ke nekiyāñ dariyā meñ Daal detā hai
zamāna mujh ko miTānā to chāhtā hai magar
mirā ḳhudā mujhe aksar sañbhāl detā hai
badalte vaqt kā 'zāhid' mizāj dekheñge
kise uruuj kise vo zavāl detā hai
wo kaun hai jo balaon ko Tal deta hai
main Dubta hun to dariya uchhaal deta hai
wo thoDi der ko aata hai aur basti ke
tamam logon ko uljhan mein Dal deta hai
ab aise shaKHs ko kahte hain log diwana
jo kar ke nekiyan dariya mein Dal deta hai
zamana mujh ko miTana to chahta hai magar
mera KHuda mujhe aksar sanbhaal deta hai
badalte waqt ka 'zahid' mizaj dekhenge
kise uruj kise wo zawal deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.