wo kaun log hain jo mai udhaar lete hain
vo kaun log haiñ jo mai udhār lete haiñ
ye mai-farosh to Topī utaar lete haiñ
ye paas parda-nashīnoñ kā hai ki naale bhī
jo ūñche hote haiñ parde pukār lete haiñ
vo kahte haiñ abhī allāh itnī tāqat hai
jo karvaTeñ kabhī ham be-qarār lete haiñ
bachā.eñge gul-o-bulbul ko dām-e-gulchīñ se
jo koī pahuñche to fasl-e-bahār lete haiñ
yahī haiñ kaam nikaltā hai jin kā be-tā.at
maze karam ke tire sharmsār lete haiñ
utarte arsh se Dartā hai tū duā vaale
asar ko haath baḌhā kar utaar lete haiñ
sharāb ke liye mai-nosh muñh haiñ phailā.e
jam.hā.īyāñ nahīñ vaqt-e-ḳhumār lete haiñ
gunāhgār haiñ itne hī un butoñ ke ham
ki pāñch vaqt ḳhudā ko pukār lete haiñ
jamā ye rañg ki ab vaqt-e-zamzama-sanjī
chaman meñ mujh ko anādil pukār lete haiñ
piye hoñ kitnī hī lekin ye hosh rahtā hai
ki sote vaqt vo zevar utaar lete haiñ
'riyāz' bātoñ meñ apnī agar nahīñ jaadū
parī ko shīshe meñ yūñhī utaar lete haiñ
wo kaun log hain jo mai udhaar lete hain
ye mai-farosh to Topi utar lete hain
ye pas parda-nashinon ka hai ki nale bhi
jo unche hote hain parde pukar lete hain
wo kahte hain abhi allah itni taqat hai
jo karwaTen kabhi hum be-qarar lete hain
bachaenge gul-o-bulbul ko dam-e-gulchin se
jo koi pahunche to fasl-e-bahaar lete hain
yahi hain kaam nikalta hai jin ka be-taat
maze karam ke tere sharmsar lete hain
utarte arsh se Darta hai tu dua wale
asar ko hath baDha kar utar lete hain
sharab ke liye mai-nosh munh hain phailae
jamhaiyan nahin waqt-e-KHumar lete hain
gunahgar hain itne hi un buton ke hum
ki panch waqt KHuda ko pukar lete hain
jama ye rang ki ab waqt-e-zamzama-sanji
chaman mein mujh ko anadil pukar lete hain
piye hon kitni hi lekin ye hosh rahta hai
ki sote waqt wo zewar utar lete hain
'riyaz' baaton mein apni agar nahin jadu
pari ko shishe mein yunhi utar lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.