wo kaun si hai ja tera jalwa jahan nahin
vo kaun sī hai jā tirā jalva jahāñ nahīñ
ka.aba kalīsā dair-o-haram meñ kahāñ nahīñ
ham banda-e-talab haiñ hamārā makāñ nahīñ
jis sarzamīñ ke ham haiñ vahāñ āsmāñ nahīñ
mujrim to baat karte haiñ baḌh chaḌh ke har jagah
hotī hai be-qusūr ke muñh meñ zabāñ nahīñ
jab bhī khulī zabāñ to nafī meñ khulī tirī
kyā hai luġhāt-e-husn meñ ye lafz haañ nahīñ
yā-rab ho ḳhair ham pe vo itnā ḳhafā hai kyoñ
khā.īñ raqīb ne to na.ī chuġhliyāñ nahīñ
rūdād-e-hijr tum ko sunā.ūñ 'jalāl' kyā
tashrīh ke liye mire muñh meñ zabāñ nahīñ
wo kaun si hai ja tera jalwa jahan nahin
kaba kalisa dair-o-haram mein kahan nahin
hum banda-e-talab hain hamara makan nahin
jis sarzamin ke hum hain wahan aasman nahin
mujrim to baat karte hain baDh chaDh ke har jagah
hoti hai be-qusur ke munh mein zaban nahin
jab bhi khuli zaban to nafi mein khuli teri
kya hai lughat-e-husn mein ye lafz han nahin
ya-rab ho KHair hum pe wo itna KHafa hai kyon
khain raqib ne to nai chughliyan nahin
rudad-e-hijr tum ko sunaun 'jalal' kya
tashrih ke liye mere munh mein zaban nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.