wo KHamushi hai ki KHud se Dara hua hun main
vo ḳhāmushī hai ki ḳhud se Darā huā huuñ maiñ
pata nahīñ kise āvāz de rahā huuñ maiñ
kuchh aise Dhab se ghaTā hai ga.e dinoñ meñ chāñd
mire ye dhyān paḌā hai ki miT rahā huuñ maiñ
palaT rahūñgā abhī ghar bahut udaas na ho
pahāḌiyoñ se guzartī huī sadā huuñ maiñ
huī jo shaam to dil meñ udāsiyāñ utrīñ
charāġh jalne lage haiñ to bujh gayā huuñ maiñ
vahī shabāb vahī bekasī kabhī pahle
gumān hai ki isī raah se gayā huuñ maiñ
vo ek jism vahī kau.dtā lapaktā jism
ki jis ke rañg kī nisbat se jogiyā huuñ maiñ
kabhī kabhī mire sapnoñ ko chhīn letī hai
vo ik nigāh ki jis kā luTā huā huuñ maiñ
laboñ pe tark-e-ta.alluq kī baat aate hī
har ek zaḳhm pukārā abhī harā huuñ maiñ
kuchh aise Dhab se mujhe log 'ashk' kahte haiñ
ki apne naam se begāna ho chalā huuñ maiñ
wo KHamushi hai ki KHud se Dara hua hun main
pata nahin kise aawaz de raha hun main
kuchh aise Dhab se ghaTa hai gae dinon mein chand
mere ye dhyan paDa hai ki miT raha hun main
palaT rahunga abhi ghar bahut udas na ho
pahaDiyon se guzarti hui sada hun main
hui jo sham to dil mein udasiyan utrin
charagh jalne lage hain to bujh gaya hun main
wahi shabab wahi bekasi kabhi pahle
guman hai ki isi rah se gaya hun main
wo ek jism wahi kaudta lapakta jism
ki jis ke rang ki nisbat se jogiya hun main
kabhi kabhi mere sapnon ko chhin leti hai
wo ek nigah ki jis ka luTa hua hun main
labon pe tark-e-talluq ki baat aate hi
har ek zaKHm pukara abhi hara hun main
kuchh aise Dhab se mujhe log 'ashk' kahte hain
ki apne nam se begana ho chala hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.