wo KHirad-mand ye behosh wo saudai hai
vo ḳhirad-mand ye behosh vo saudā.ī hai
jaise duniyā tirī chaukhaT pe simaT aa.ī hai
tazkire qaus-e-quzah ke mire hoñToñ pe mile
goyā āñkhoñ meñ faqat aap kī añgḌā.ī hai
chāñd chehre se to raushan hai magar dil kā siyāh
ye haqīqat mujhe sirf aap ne samjhā.ī hai
ġham-e-'uqbā kī ḳhabar ḳhair ḳhudā hī jaane
ġham-e-duniyā se to barsoñ kī shanāsā.ī hai
kisī majbūr mohabbat ne vahī naam liyā
der tak dil ke dhaḌakne kī sadā aa.ī hai
maiñ samajhtā huuñ amīroñ ke muqaddar chamke
log kahte haiñ ġharīboñ kī pazīrā.ī hai
chand sikkoñ ke 'evaz baap kī chaukhaT bhī ga.ī
jis ne ehsān kiyā hai vo mirā bhaa.ī hai
wo KHirad-mand ye behosh wo saudai hai
jaise duniya teri chaukhaT pe simaT aai hai
tazkire qaus-e-quzah ke mere honTon pe mile
goya aankhon mein faqat aap ki angDai hai
chand chehre se to raushan hai magar dil ka siyah
ye haqiqat mujhe sirf aap ne samjhai hai
gham-e-'uqba ki KHabar KHair KHuda hi jaane
gham-e-duniya se to barson ki shanasai hai
kisi majbur mohabbat ne wahi nam liya
der tak dil ke dhaDakne ki sada aai hai
main samajhta hun amiron ke muqaddar chamke
log kahte hain gharibon ki pazirai hai
chand sikkon ke 'ewaz bap ki chaukhaT bhi gai
jis ne ehsan kiya hai wo mera bhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.