wo KHud apna daman baDhane lage
vo ḳhud apnā dāman baḌhāne lage
chalo aaj aañsū Thikāne lage
hamārā burā vaqt jab Tal gayā
phir ahbāb milne-milāne lage
tirī barhamī meñ bhī jān-e-vafā
navāzish ke andāz aane lage
madavā-e-ġham kuchh to karnā hī thā
musībat paḌī gungunāne lage
mazā de gayā yaar daur-e-firāq
hameñ to ye din bhī suhāne lage
mohabbat se taufīq-e-iz.hār tak
pahuñchte pahuñchte zamāne lage
ye ġhunche bhī 'fārūq' kyā ḳhuub haiñ
khulī aañkh aur muskurāne lage
wo KHud apna daman baDhane lage
chalo aaj aansu Thikane lage
hamara bura waqt jab Tal gaya
phir ahbab milne-milane lage
teri barhami mein bhi jaan-e-wafa
nawazish ke andaz aane lage
madawa-e-gham kuchh to karna hi tha
musibat paDi gungunane lage
maza de gaya yar daur-e-firaq
hamein to ye din bhi suhane lage
mohabbat se taufiq-e-izhaar tak
pahunchte pahunchte zamane lage
ye ghunche bhi 'faruq' kya KHub hain
khuli aankh aur muskurane lage
- Book : Udas Lamhon Ke Mausam (Poetry) (Pg. 51)
- Author : Farooq Bakhshi
- Publication : Modern Publishing House (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.