wo KHud KHabar hai magar apni kuchh KHabar bhi nahin
vo ḳhud ḳhabar hai magar apnī kuchh ḳhabar bhī nahīñ
sitam-zarīf ko ehsās-e-ḳhair-o-shar bhī nahīñ
yahāñ to sab ko ijāzat hai aane jaane kī
hamārā dil to vo ghar hai ki jis meñ dar hī nahīñ
ḳhabar yahī thī ki vo bad-dimāġh hai shāyad
jo jā ke dekhā ki kāñdhe pe us ke sar bhī nahīñ
bahār DhūñDne nikle the kis jagah pahuñche
kahāñ ke phuul kahāñ phal yahāñ shajar bhī nahīñ
jahāñ kā dard chhupā lete vā-e-majbūrī
hamāre paas jo hotā thā vo jigar bhī nahīñ
faqīr-e-ishq ko chāhat kī bhiik kyā miltī
ki shahr-e-zar meñ saḳhī-dātā ik bashar bhī nahīñ
wo KHud KHabar hai magar apni kuchh KHabar bhi nahin
sitam-zarif ko ehsas-e-KHair-o-shar bhi nahin
yahan to sab ko ijazat hai aane jaane ki
hamara dil to wo ghar hai ki jis mein dar hi nahin
KHabar yahi thi ki wo bad-dimagh hai shayad
jo ja ke dekha ki kandhe pe us ke sar bhi nahin
bahaar DhunDne nikle the kis jagah pahunche
kahan ke phul kahan phal yahan shajar bhi nahin
jahan ka dard chhupa lete wa-e-majburi
hamare pas jo hota tha wo jigar bhi nahin
faqir-e-ishq ko chahat ki bhik kya milti
ki shahr-e-zar mein saKHi-data ek bashar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.