wo KHush-KHiram ki burj-e-zawal mein na mila
vo ḳhush-ḳhirām ki burj-e-zavāl meñ na milā
mujhe sukūn sitāre kī chaal meñ na milā
majāl de ke mujhe ḳhāmushī vabāl huī
mirā javāb vidā-e-savāl meñ na milā
vo nā-shanās rahā fāḳhera libāsoñ meñ
agar milā to mohabbat kī shaal meñ na milā
nazar mile to use dekh be yaqīnī se
jise qayām shab-e-ehtimāl meñ na milā
vo be-hijāb mirī yaad se hijāb kare
ajiib kyā hai ki ab tak ḳhayāl meñ na milā
mirā mizāj kisī ke mizāj se na mile
mirā kamāl kisī ke kamāl meñ na milā
safar meñ rakh mujhe merī judā.iyoñ se parakh
firāq de abhī ḳhāk-e-visāl meñ na milā
wo KHush-KHiram ki burj-e-zawal mein na mila
mujhe sukun sitare ki chaal mein na mila
majal de ke mujhe KHamushi wabaal hui
mera jawab wida-e-sawal mein na mila
wo na-shanas raha faKHera libason mein
agar mila to mohabbat ki shaal mein na mila
nazar mile to use dekh be yaqini se
jise qayam shab-e-ehtimal mein na mila
wo be-hijab meri yaad se hijab kare
ajib kya hai ki ab tak KHayal mein na mila
mera mizaj kisi ke mizaj se na mile
mera kamal kisi ke kamal mein na mila
safar mein rakh mujhe meri judaiyon se parakh
firaq de abhi KHak-e-visal mein na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.