wo KHun-e-insan se hath jin ke sane hue hain
vo ḳhūn-e-insāñ se haath jin ke sane hue haiñ
payāmbar amn-o-āshatī ke bane hue haiñ
karūñgā tūfāñ ke baad un kī mizāj-pursī
ghamanD se chuur peḌ jitne tane hue haiñ
vo log ab chāñd ko basāne kī fikr meñ haiñ
jo is zamīñ ke amaañ ke dushman bane hue haiñ
the āsmāñ par tabāhiyoñ ke jo halke bādal
vo ahd-e-nau meñ na jaane kaise ghane hue haiñ
kisī bhī ik mas.ale kā hal aaj tak na niklā
jo zindagī ke the mas.ale sab bane hue haiñ
ḳhudā ne jannat kī saarī āsā.isheñ to dī thiiñ
ye saare dukh zindagī ke tere jane hue haiñ
unheñ manāne meñ vaqt zaa.e.a karo na 'sābir'
anā ke bande jo be-sabab hī tane hue haiñ
wo KHun-e-insan se hath jin ke sane hue hain
payambar amn-o-ashati ke bane hue hain
karunga tufan ke baad un ki mizaj-pursi
ghamanD se chur peD jitne tane hue hain
wo log ab chand ko basane ki fikr mein hain
jo is zamin ke aman ke dushman bane hue hain
the aasman par tabahiyon ke jo halke baadal
wo ahd-e-nau mein na jaane kaise ghane hue hain
kisi bhi ek masale ka hal aaj tak na nikla
jo zindagi ke the masale sab bane hue hain
KHuda ne jannat ki sari aasaishen to di thin
ye sare dukh zindagi ke tere jane hue hain
unhen manane mein waqt zaea karo na 'sabir'
ana ke bande jo be-sabab hi tane hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.