wo KHwab KHwab faza wo nagar kisi ka tha
vo ḳhvāb ḳhvāb fazā vo nagar kisī kā thā
musāfirat to mirī thī safar kisī kā thā
nazar-gurez rahīñ is tarah mirī āñkheñ
ki jaise merā nahīñ merā ghar kisī kā thā
lahū to merā chhupā thā kalī kī muTThī meñ
khule gulāb pe haqq-e-nazar kisī kā thā
bahut buland mirī pāsbāñ fasīleñ thiiñ
dhaḌakte dil ko mire phir bhī Dar kisī kā thā
ye haath paañv mire the zabān merī thī
jo de rahā thā ishāre vo sar kisī kā thā
wo KHwab KHwab faza wo nagar kisi ka tha
musafirat to meri thi safar kisi ka tha
nazar-gurez rahin is tarah meri aankhen
ki jaise mera nahin mera ghar kisi ka tha
lahu to mera chhupa tha kali ki muTThi mein
khule gulab pe haqq-e-nazar kisi ka tha
bahut buland meri pasban fasilen thin
dhaDakte dil ko mere phir bhi Dar kisi ka tha
ye hath panw mere the zaban meri thi
jo de raha tha ishaare wo sar kisi ka tha
- Book : AURAAQ (Pg. 246)
- Author : Wazir Agha, Sajjad Naqvi
- Publication : Auraaq Chauk, Urdu Bazar, Lahore (April, May 1982)
- Edition : April, May 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.