wo KHwab ya KHayal hai main jaan lun to kuchh kahun
wo KHwab ya KHayal hai main jaan lun to kuchh kahun
Iftikhar Shahid Abu Saad
MORE BYIftikhar Shahid Abu Saad
vo ḳhvāb yā ḳhayāl hai maiñ jaan luuñ to kuchh kahūñ
jo ranj-e-māh-o-sāl hai maiñ jaan luuñ to kuchh kahūñ
abhī mujhe ḳhabar nahīñ maiñ kis liye udaas huuñ
jo huzn hai malāl hai maiñ jaan luuñ to kuchh kahūñ
ġhubār-e-ārzū chhaTe to phir koī ḳhabar mile
ye hijr hai visāl hai maiñ jaan luuñ to kuchh kahūñ
faqīh-e-shahr ek jaam pī ke dekh luuñ zarā
harām yā halāl hai maiñ jaan luuñ to kuchh kahūñ
ka.ī dinoñ se ek sher bhī nahīñ kahā gayā
uruuj yā zavāl hai maiñ jaan luuñ to kuchh kahūñ
go zaḳhm sil ga.e magar kasak to aur baḌh ga.ī
ye kaisā indimāl hai maiñ jaan luuñ to kuchh kahūñ
kalī chaTakne dījiye abhī na mujh se pūchhiye
ye zard hai ki laal hai maiñ jaan luuñ to kuchh kahūñ
radīf aur qāfiye nibhā diye ga.e magar
ġhazal bhī lā-zavāl hai maiñ jaan luuñ to kuchh kahūñ
abhī to mere paas thā abhī ye dil kidhar gayā
ye zulf hai ki jaal hai maiñ jaan luuñ to kuchh kahūñ
hamāre saath yaar log phir se haath kar ga.e
yā ab ke terī chaal hai maiñ jaan luuñ to kuchh kahūñ
wo KHwab ya KHayal hai main jaan lun to kuchh kahun
jo ranj-e-mah-o-sal hai main jaan lun to kuchh kahun
abhi mujhe KHabar nahin main kis liye udas hun
jo huzn hai malal hai main jaan lun to kuchh kahun
ghubar-e-arzu chhaTe to phir koi KHabar mile
ye hijr hai visal hai main jaan lun to kuchh kahun
faqih-e-shahr ek jam pi ke dekh lun zara
haram ya halal hai main jaan lun to kuchh kahun
kai dinon se ek sher bhi nahin kaha gaya
uruj ya zawal hai main jaan lun to kuchh kahun
go zaKHm sil gae magar kasak to aur baDh gai
ye kaisa indimal hai main jaan lun to kuchh kahun
kali chaTakne dijiye abhi na mujh se puchhiye
ye zard hai ki lal hai main jaan lun to kuchh kahun
radif aur qafiye nibha diye gae magar
ghazal bhi la-zawal hai main jaan lun to kuchh kahun
abhi to mere pas tha abhi ye dil kidhar gaya
ye zulf hai ki jal hai main jaan lun to kuchh kahun
hamare sath yar log phir se hath kar gae
ya ab ke teri chaal hai main jaan lun to kuchh kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.