wo KHwabon ke aazar jhele magar bar-e-duniya na jhele
vo ḳhvāboñ ke āzār jhele magar bār-e-duniyā na jhele
jo dukh maiñ ne jhele haiñ allah kare merā beTā na jhele
duā hai ki ham-rūh mil jaa.e har ek ko apnā apnā
agar jhelnā bhī paḌe koī ġham to akelā na jhele
tamāshā banāne se pahle tumheñ ilm thā dil ke baare
ki tanhā.ī to jhel legā magar ye tamāshā na jhele
tum aao agar dekhne ke liye apne vahshī kī hālat
to pathrā.ī āñkhoñ se bas dekhnā ye dilāsā na jhele
koī aa.ine ke chaTaḳhne pe is darja hairān kyoñ ho
vo jādūī partav bhalā kis tarah koī ā.īna jhele
wo KHwabon ke aazar jhele magar bar-e-duniya na jhele
jo dukh main ne jhele hain allah kare mera beTa na jhele
dua hai ki ham-ruh mil jae har ek ko apna apna
agar jhelna bhi paDe koi gham to akela na jhele
tamasha banane se pahle tumhein ilm tha dil ke bare
ki tanhai to jhel lega magar ye tamasha na jhele
tum aao agar dekhne ke liye apne wahshi ki haalat
to pathrai aankhon se bas dekhna ye dilasa na jhele
koi aaine ke chaTaKHne pe is darja hairan kyon ho
wo jadui partaw bhala kis tarah koi aaina jhele
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.