wo kisi ka ho chuka hai aur kisi ke sath hai
vo kisī kā ho chukā hai aur kisī ke saath hai
bhuul jaao ab use ye bhūlne kī baat hai
sub.h sūraj kī kiran phir khiḌkiyoñ par aa.egī
kaun kahtā hai muqaddar meñ añdherī raat hai
zehn kī pagDanDiyoñ par jhilmilātā hai koī
mere ghar meñ jugnuoñ kī raat bhar bārāt hai
be-hisī thī bhā.iyoñ meñ dost bhī the matlabī
mere hisse meñ akele-pan kī kuchh sauġhāt hai
ḳhushk āñkhoñ kī namī mujh se ye kahtī hai 'shakīl'
us ke ghar meñ yaad kī chāroñ taraf barsāt hai
wo kisi ka ho chuka hai aur kisi ke sath hai
bhul jao ab use ye bhulne ki baat hai
subh suraj ki kiran phir khiDkiyon par aaegi
kaun kahta hai muqaddar mein andheri raat hai
zehn ki pagDanDiyon par jhilmilata hai koi
mere ghar mein jugnuon ki raat bhar baraat hai
be-hisi thi bhaiyon mein dost bhi the matlabi
mere hisse mein akele-pan ki kuchh saughat hai
KHushk aankhon ki nami mujh se ye kahti hai 'shakil'
us ke ghar mein yaad ki chaaron taraf barsat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.