wo kisi se kabhi nahin karta
vo kisī se kabhī nahīñ kartā
baat be-mausamī nahīñ kartā
jis kā dil soz-e-ġham se raushan ho
tīrgī tīrgī nahīñ kartā
har koī is jahān meñ sāhib
bebasī bebasī nahīñ kartā
jo vafā ko vafā samajhtā hai
baat vo be-ruḳhī nahīñ kartā
mushkiloñ meñ rah ke bhī bā-himmat
aadmī ḳhud-kushī nahīñ kartā
jis ke dil meñ ḳhayāl-e-uqbā ho
zindagī zindagī nahīñ kartā
vo jo 'irfān' kal milā thā mujhe
ishq meñ dil-lagī nahīñ kartā
wo kisi se kabhi nahin karta
baat be-mausami nahin karta
jis ka dil soz-e-gham se raushan ho
tirgi tirgi nahin karta
har koi is jahan mein sahib
bebasi bebasi nahin karta
jo wafa ko wafa samajhta hai
baat wo be-ruKHi nahin karta
mushkilon mein rah ke bhi ba-himmat
aadmi KHud-kushi nahin karta
jis ke dil mein KHayal-e-uqba ho
zindagi zindagi nahin karta
wo jo 'irfan' kal mila tha mujhe
ishq mein dil-lagi nahin karta
- Book : حاشیےمیں نیکیاں (Pg. 78)
- Author : عرفانؔ شاہ نوری
- Publication : الفاظ پبلی کیشن، کامٹی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.