wo koi gustaKH pagal manchala tha main na tha
vo koī gustāḳh pāgal manchalā thā maiñ na thā
aap ko chheḌā thā jis ne dūsrā thā maiñ na thā
maiñ ne dānista haTā.ī kab tire ruḳh se naqāb
vo to merī 'aql par parda paḌā thā maiñ na thā
haath TūTeñ maiñ ne jo chheḌī hoñ zulfeñ aap kī
aap ke sar kī qasam dast-e-sabā thā maiñ na thā
mai-kade meñ jo gayā thā muñh chhupā kar raat ko
mohtasib ik aap jaisā pārsā thā maiñ na thā
mere hote rishta qaa.em kar liyā kyoñ ġhair se
maut aa.ī thī mujhe kyā mar gayā thā maiñ na thā
husn-e-mutlaq jalva-gar thā māsivā se peshtar
maiñ kahāñ thā mujh se pahle hī ḳhudā thā maiñ na thā
wo koi gustaKH pagal manchala tha main na tha
aap ko chheDa tha jis ne dusra tha main na tha
main ne danista haTai kab tere ruKH se naqab
wo to meri 'aql par parda paDa tha main na tha
hath TuTen main ne jo chheDi hon zulfen aap ki
aap ke sar ki qasam dast-e-saba tha main na tha
mai-kade mein jo gaya tha munh chhupa kar raat ko
mohtasib ek aap jaisa parsa tha main na tha
mere hote rishta qaem kar liya kyon ghair se
maut aai thi mujhe kya mar gaya tha main na tha
husn-e-mutlaq jalwa-gar tha masiwa se peshtar
main kahan tha mujh se pahle hi KHuda tha main na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.