wo koi sach tha ya jhuTa koi fasana tha
vo koī sach thā yā jhūTā koī fasāna thā
hameñ milā kyuuñ nahīñ jis ko ham ne chāhā thā
maiñ kyā kahūñ ki vo qātil thā yā masīhā thā
magar adāoñ se lagtā baḌā hī pyārā thā
hasīn aas ko in qurbatoñ ne toḌ diyā
sarāb niklā jise dariyā ham ne samjhā thā
mahak rahā hai abhī tak hinā.ī hāthoñ sā
hathelī pe jo mirā naam tum ne likkhā thā
mile the dost ka.ī raah meñ hasīn magar
kisī ko saath mire duur tak na chalnā thā
wo koi sach tha ya jhuTa koi fasana tha
hamein mila kyun nahin jis ko hum ne chaha tha
main kya kahun ki wo qatil tha ya masiha tha
magar adaon se lagta baDa hi pyara tha
hasin aas ko in qurbaton ne toD diya
sarab nikla jise dariya hum ne samjha tha
mahak raha hai abhi tak hinai hathon sa
hatheli pe jo mera nam tum ne likkha tha
mile the dost kai rah mein hasin magar
kisi ko sath mere dur tak na chalna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.