wo ku-e-yar ko jate hain be-niyaz nahin
vo kū-e-yār ko jaate haiñ be-niyāz nahīñ
haiñ sañg-e-dil hī vahāñ koī dil-navāz nahīñ
hai muḳhtasar sā hī qissa hayāt kā logo
kisī ke hisse kī to umr kuchh darāz nahīñ
dikhā.e raah magar kaisā āftāb hai vo
ho jis ko mashriq-o-maġhrib meñ imtiyāz nahīñ
burī nahīñ hai ḳhud-ārā.ī par ye Thiik nahīñ
ki samjho ḳhud sā jahāñ meñ hai sarfarāz nahīñ
ye ābshār se maġhmūm chashm se jo gire
kareñge kyā kaho patthar kā dil gudāz nahīñ
kareñge sajde jahāñ par dikhe tirā paikar
hai but-parastī ko darkār jā-namāz nahīñ
ġhurūb-o-sharq haiñ taqdīr-ḳhur magar mujh ko
nasheb hī nazar aatā hai ab farāz nahīñ
nikāl naqs magar itnā yaad rakh 'nāqid'
hai nukta-chīnī se mujh ko bhī ehtirāz nahīñ
wo ku-e-yar ko jate hain be-niyaz nahin
hain sang-e-dil hi wahan koi dil-nawaz nahin
hai muKHtasar sa hi qissa hayat ka logo
kisi ke hisse ki to umr kuchh daraaz nahin
dikhae rah magar kaisa aaftab hai wo
ho jis ko mashriq-o-maghrib mein imtiyaz nahin
buri nahin hai KHud-arai par ye Thik nahin
ki samjho KHud sa jahan mein hai sarfaraaz nahin
ye aabshaar se maghmum chashm se jo gire
karenge kya kaho patthar ka dil gudaz nahin
karenge sajde jahan par dikhe tera paikar
hai but-parasti ko darkar ja-namaz nahin
ghurub-o-sharq hain taqdir-KHur magar mujh ko
nasheb hi nazar aata hai ab faraaz nahin
nikal naqs magar itna yaad rakh 'naqid'
hai nukta-chini se mujh ko bhi ehtiraaz nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.